Thursday, April 22, 2010

Maja hi kuchh aur hai

Friends, I had heard "Maja hi kuchh aur hai" Vynag sometime back from my cousin, but never found it on net. I tried my best to to recollect lines of this vyang and recollected some of them. "Maja hi kuchh aur hai" is a keen observation of society. I have added lot of my observation in this vyang (as could not recollect much from original :) ). I enjoyed it a lot, I Hope you too enjoy it.

Maja hi kuchh aur hai !!

Daton se nakhun katne ka
mugfali ke thele se mungafali chakhne ka
chaat wale se fokat ki chatni dalwane ka
aur BMTC ke bus ke seat mein se spunge nikal neka
Maja hi kuchh aur hai !!

Ek hi khuti pe dher saare kapde taang neka
dusron ki chithhiya padhne ka
line tod ke aage badhne ka
aur mange hue scooter ko tez chalane ka
Maja hi kuchh aur hai !!

Chori se fal ful todne ka
Kharab tube light aur matko ko fodne ka
sunday ko dophar tak sone ka
aur thuk se ticket chipkane ka
Maja hi kuchh aur hai !!

Office mein late aane ka
Kaam kar raha hun dikhane ka
Saale se zabardasti paan mangawane ka
aur saali ki peeth thapthapa ne ka
Maja hi kuchh aur hai !!

Aarti mein phata hua note chadha ne ka
paan ko idhar udhar thukne ka
kaamjor se be wajah ladne ka
aur Chalti train mein chadhne ka
Maja hi kuchh aur hai !!

haath chhod ke cycle chalane ka
traffic mein horn bajane ka
FB pe dusro ki profile dekhne ka
aur bathroom mein besura gane ka
Maja hi kuchh aur hai !!

Chorahe pe doston ke sath mehfil jamane ka
exam mein cheating karke pass hone ka
bukhar ke bahana banake chhuti marne ka
aur copy-paste karke document banane ka
maza hi khuchh aur hai !!

bewajah jhoot bolne ka
kursi pe baith ke kaan mein pen dalne ka
bus mein dusre ke kandhe pe sir tika ke sone ka
aur barat mein press kiye hue kapdo ko firse press karwane ka
maza hi khuchh aur hai !!

pehli barish mein bhigne ka
chhoto ko zabardasti datne ka
paise walon ko gali bakne ka
aur Theater mein corner seat pe baithne ka
maza hi khuchh aur hai !!

Naye saal pe dukandaar se calendar mangne ka
padosan ko ghur ghur ke dekhne ka
Apna kachra dusre ke ghar ke samne fekne ka
aur itni ghatiya kavita sunane ka
maza hi khuchh aur hai !!!!!!!!!!!!

P.S. : You keen observations of society are welcome :)

2 comments:

Vimlesh Kumar said...

Ye sab padh ker time pass kerne ka maja hi kuch aur hai

Shikha maheswari said...

apki kavita par (daant)daad dene ka maza hi kuch or hai.

Shikha Maheshwari
Borivali , Mumbai
8097507276